THIS FORUM IS MOVE TO HALLAGULLA WORLD PLEASE JOIN US
You are currently viewing our boards as a guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

.JOIN OUR URDU SHAIRY COMMUNITY. KEEP YOUR JOURNEY WITH US.

Join the forum, it's quick and easy

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana )

2 posters

Go down

IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana ) Empty IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana )

Post by NOOR Sun Oct 18, 2009 4:21 pm

Is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana
ik naar pay jaan ko haar gaya,
mashhoor hai uska afsana!

Us naar main aisa roop na tha, jis roop say din ki dhoop dhalay
is shehar main kia kia goori hai, mehtaab, rukhay, gulnaar, labay

kuch baat thee uski baatoon main, kuch bhaid thay uskay chitwan main
wohi bhaid kay joot jagatay hain, kisi chahnay walay kay man main

usay apna bananay ki dhun main, howa aap hi aap say baigana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!

Na chanchal khail jawani kay, na pyaar ki alhar ghatain theen
bas raah main unka milna tha, ya phone pay unki baatain theen

is ishq pay hum bhi hanstay thay, bay-hasil sa bay-hasil tha?
ik rooz biphartay sagar main, na kashti thee na sahil tha

jo baat thee inkay jee main thee, jo bhaid tha yaksar anjana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!

Ik rooz magar barkha rut main, wo bhadoon thee ya sawan tha
deewar pay beech samundar kay, yeh daikhnay waloon nay daikha

mastana haath main haath diyay, yeh aik kagar pay baithay thay
youn shaam hoi phir raat hoi, jab sailani ghar laut gaiy

kia raat thee wo – jee chahta hai us raat pay likhain aik afsana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana,

Haan umar bhar ka saath nibhanay kay thay ehad bohut paimaan bohut
wo jin pay bharosa karnay main kuch sood nahi, nuqsaan bohut

wo naar yeh keh kar duur hoi – majboori sajan majboori
yeh wehshat say ranjoor howay aur ranjoori si ranjoori?

us rooz hamain maloom howa, us shakhs ka mushkil samjhana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!!

Go aag say chati jalti thee, go aankh say darya behta tha
har aik say dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha

nadaan hain wo jo chairtay hain, is aalam main nadanoon ko
us shakhs say aik jawab mila, sab apnoon ko baiganoon ko

kuch aur kaho to sunta hoon – is baab par kuch mat farmana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!

Ab agay ka tehqeeq nahi, go sunnay ko hum suntay thay
us naar ki jo jo baatain theen, us naar kay jo jo qissay thay

ik shaam jo usko bulwaya, kuch samjhaya baicharay nay
us raat yeh qissa paak kiya, kuch kha hi liya dukhyaray nay

kia baat hoi, kis taur hoi? akhbaar say logoon nay jana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana.

Har baat ki khooj to theek nahi, tum humko kahani kehnay do
us naar ka naam maqaam hai kia, is baat pay parda rehnay do

hum say bhi to sauda mumkin hai, tum say bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaan ho sakta hai, yeh apni katha ho sakti hai

wo naar bhi akhir pachtai, kis kaam ka aisa pachtana?
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewna

NOOR
NOOR
Adminstrator
Adminstrator

Gender : Male Zodiac : Aquarius Posts : 852
Birthday : 1992-02-14
Join date : 2009-10-14
Age : 32
Location : No WhErE
Job/hobbies Job/hobbies : always KAMAL karna

Back to top Go down

IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana ) Empty Re: IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana )

Post by ANJANI TETLI Mon Oct 19, 2009 9:34 pm

SUBHAN ALLAH BHUT UMDAH GHAZAL HAI NICE
ANJANI TETLI
ANJANI TETLI
~^U.S.W TEAM MANAGER^~
~^U.S.W TEAM MANAGER^~

Gender : Female Zodiac : Leo Posts : 277
Birthday : 1989-08-10
Join date : 2009-10-19
Age : 34
Location : AUSTRALIA
Job/hobbies Job/hobbies : student of bba-it

Back to top Go down

IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana ) Empty Re: IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana )

Post by NOOR Tue Oct 20, 2009 3:37 pm

HEY ANJANI TETLI U KNOW WAT IS MEIN TO KOI SHAK NAHI K YE BEST GHAZAL HE BUT APP NE MUJHEY APPRECIATE KYA SO I MUST SAY K AB MEIN PROUD FEEL KAR RAHA HUN K YE GHAZAL MEIN NE SHARE KI HE,,,,,HEHEHHEH
NOOR
NOOR
Adminstrator
Adminstrator

Gender : Male Zodiac : Aquarius Posts : 852
Birthday : 1992-02-14
Join date : 2009-10-14
Age : 32
Location : No WhErE
Job/hobbies Job/hobbies : always KAMAL karna

Back to top Go down

IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana ) Empty Re: IBN-E-INSHA ( Is basti kay ik koochay main, Tha Insha naam ka deewana )

Post by Sponsored content

Sponsored content

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum